Post # 1
|
||
SOME GOOD TALKS TO REMEMBER IN OUR LIFE
|
||
One of the best collections of Achchi Batain!!!
1) Rishton ki asal khubsurti ek doosray ki baat ko bardasht karna hai. 2) Be aeb Insaan ko talash mat karo warna akele reh jaogay. 3) Jab kisi kaam ka irada karo to uska anjaam soach lo, agar iska anjaam acha ho to karlo, aur agar anjaam bura ho to uss se ruk jao...! 4) Kisi se naraazgi ka waqt itna taweel na rakho ke woh tumhaare baghair hi jeena seekh jaye. 5) Namaz ki haalat mein aankhen band karna makrooh hai. Namaz mein jab qayam par ho to nazrein sajde ki jagah rakho , jab rukoo karo to paon ke darmiyan dekho , jab sajda karo to naak ki simt mein aur jab baith jao to nazaren jholi mein honi chahiye, Aur jab salam phero to dono kandhon ko dekho. 6) Paedaish Ke Waqt Azan Di Jati Hai. Magar Namaz Nahi Parhi Jati. Aur Maut Ke Waqt Namaz Parhi Jati Hai Magar AZAN Nahi Di Jati. To phir Zindagi Kya hai ? SIRF AZAAN SE NAMAZ TAK KA WAQT HAI. 7) Jo shakhs ALLAH se darta hai woh kabhi kisi se badla nahi leta. 8) Hasad karne wala apni maut se pehle hi mar jaata hai. 9) Kisi par Etaymaad na karo, jab tak usey ghussey mein na dekhlo. 10) ALLAH dey kar bhi aazmata hay aur ley kar bhi, Ghareeb aadmi roti ke liye daurta hai aur Ameer roti hazam karne ke liye. 11) Gunah mein Lazzat hoti hain Sukoon nahi. 12) Baat Alfaaz ki nahi lehje ki hoti hai, kisi ke barai mein bura mat soncho, ho sakta hain **** ALLAH ki nazar me tum se behtar ho. 13) Koi Gunah Lazzat ke liye mat karna kyunke Lazzat khatam ho jaegi aur Gunah baqi rahega AOR KOI NEKI takleef ki wajah se mat Choro kyunke takleef khatam ho jaegi aur neki baqi rahegi. 14) Adaab of cutting nails in Sunnah way "Always Start from right hand" 1. 1st (Finger shahadat wali) 2. Middle 3. Ring 4. Small "THEN LEFT HAND" 5. SMALL 6. RING 7. MIDDLE 8. FIRST FINGER 9. THUMB 10. END W IT H RIGHT HAND THUMB. 15) Sood sey Rizq kum hota hai aur Sadaqaath se ziyada. 1. Ghoont ALLAH Ko bhi pasand hain. Ek gussey ka aur Dusra Sabr ka. 2. Qatrey ALLAH ko bhi pasand hain jihad mein khoon ka aur dusra Tanhain mein Khauf-e-KHUDA mein nikle hue aansoo ka. 3. Qadam ALLAH ko bhi pasand hain Jo farz Namaz ke lie utha aur dusra kisi ki tazyat ke lie. 16) AZAAN ko ghaur se suna karo. Is se MAUT ke Kalima parhna aasaan hota hai..! 17) JAB TUM KOI BAAT BHOOL JAO TO HUZOORe AKRAM (Sallalaho Alaihi Wasallam) par Durood Bhejo, Inshaallah Yaad AAJAAEGA 18) Apne khayalon ki hifazat karo kyunke yeh tumhare alfaaz ban jaate hain. Apne Alfaaz ki hifazat karo kyunke ye tumhare Aamal ban jaate hain. Apne Aamal ki hifazat karo kyunke yeh tumhare kirdar ban jaate hain. Aur Apne kirdar ki hifazat karo kyunke tumhara kirdar tumhari pehchan ban jatai hai. 22) Jo koi sadqe dil se Shahadath (Pehla Kalma) Parhegaa, Uspar Dozakh Haraam hai. 23) Hadees dosron tak pohnchaana bhi ek sadaqa hai AMIN SHAIKH. http://aminshaikh.webs.com [email protected] |
||
Post # 2
|
||
RE: SOME GOOD TALKS TO REMEMBER IN OUR LIFE
|
||
alhamdolillah sabhi bate bhut achi likhi hai aapne allah aap ko muze aur hum sab ko amal karne ki tofiq ata farmaye. amin. |
||